Hip Hip Hurray: Jhumka Bareli ke bazar me gira tha to uthaya kaun tha? - Hip Hip Hurray

Post Top Ad

Tuesday, 1 January 2019

Hip Hip Hurray: Jhumka Bareli ke bazar me gira tha to uthaya kaun tha?

Jhumka Gira re Bareli ke bazar me

Ek baat bataiye? agar jhumka Bareli ke baAzar me gira tha to usse uthaya kaun tha? Bata sakte hain aap?
Aapko ghanta nahi pata hai? Kyonki aap bhi to yahi soch rahe hain ki uss jhumke ko uthaya kaun tha? 
Are ye koi nahi janta....uss jhumke ka abhi tak vaigyanik pata laga rahe hain....lekin umra guzar jaayegi nahi pata laga paayenge...kyonki aaj tak ye raz khul hi nahi paaya hai ki jo jhumka girai thi, ye to pata hai ki wo Bareli ke bazar me girai thi, lekin kahan girai thi koi dekh hi nahi paya?

Har kisi ke munh se sunne ko milta hai...Jhumka gira re, Bareli ke bazar me....Are to kahan gira?

Aur bhai! Wo kaun sa jhumka tha, kaisa jhumka tha, Jo Bareli ke bazar me hi gira. Aur agar gir hi gaya to girane wali ko pata nahi chala aur sab andhe the kya wahan? Kise ne dekha tak nahi....? Kamaal hai yar.

Ab lagta hai ki mujhe hi dhundhna padega...aur dekhnaa.mai dhundh lunga....paagal main mazak kar raha hun...itna faltu ka time nahi hai mere paas...tum bhi apna waqt mat barbaad karo...girne do jhumka ko, gajra ko, chunari ko...zyada ye sab ke chakkar me mat pado...dekho mai iske chakkar me pada aur kya kya likh dala....dimga hai ki ka hai...dhat!!

No comments:

Post a Comment